Sunday, 1 July 2012

Hum Kabhi Ishq Ko Wehshat Nahi Banane Dete


Hum Kabhi Ishq Ko Wehshat Nahi Banane Dete
Dil Ki Tehzeeb Ko Tohmat Nahi Banane Dete,

Lab Hi Lab Hai To Kabhi, Abru Kabhi Cashm Hi Cashm
Naqsh Tere, Teri Soorat Nahi Banane Dete,

Yeh Sitaare Jo Chamakte Hain Pas-e-Abr-e-Siyah
Tere Gham Ko Meri Aadat Nahi Banane Dete,

Tu Kabhi Raat, Kabhi Din, Kabhi Zulmat, Kabhi Noor
Tere Jalwe Tujhe Wahdat Nahi Banane Dete,

Un Ki Jannat Bhi Koi Dasht-e-Balaa Hi Hogi
Zinda Rehne Ko Jo Lazzat Nahi Banane Dete,

Haan Musarrat To Hai Bar Haq, Magar Afkaar-e-Hayat
Koi Pairaa-e-Rahat Nahi Banane Dete,

Fikar-e-Fun Kay Liye Lazim, Magar Ache Shayer
Apne Fun Ko Kabhi Hikmat Nahi Banane Dete,

Woh Muhabbat Ka Taluq Ho, Kay Nafrat Ka "Nadeem"
Raabte, Zeest Kay-o-Khilwat Nahi Banane Dete.

0 comments:

Post a Comment