Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Monday 25 June 2012

Ubhre gi agar aah to see lain







Ubhre gi agar aah to see lain ge labon ko,,

Bhar aya agar dil to b roya na krien ge... $

Sunday 24 June 2012

Sache Pyar Ka Pata Chal Jaaye

Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaaye ga vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad

Phool Khilte Rahein


Phool Khilte Rahein Zindgi Ki Raah Mein
Hassi Chamakti Rahe Aapki Nigaah Mein
Kadam Kadam Par Mile Khushi Ki Bhaar Aapko
Dil Deta Hai Yehi Dua Baar-Baar Aapko.

Phool Ne Muskura Kar Kaha

Phool Ne Muskura Kar Kaha
Kisi Ne Kaha Phool Se Ki,
Mujhko Bata tu Aaj Tak kyon Khilta Raha,
Tune To Di Sabko
Khushbu Tujhko kya Milta Raha?
Phool Ne Muskura Kar Kaha ,
Abhi Tu Nadan Hai .
Jiwan K Sachey Pyar Se ,
Abhi Tu Anjan Hai .
Dene K Badle Kuch Lena ,
Wo To Ek Karobar Hai .
Jo De Kar Bhi Kuch Na Mange,
Wo Hi Sacha Pyar hai

Thursday 21 June 2012

Teri Baton Me Zikar



Teri Baton Me Zikar Uska, Meri Baton Me Zikar Tera......
Ajab Ishq Hai, Na Tu Mera, Na Wo Tera....

Wednesday 20 June 2012

Affection Of Love Is



 Affection Of Love Is So Strange, 
Sometimes It Becomes Reason To Live Life, 

Sometimes It Becomes Reason To Leave Life...

Monday 18 June 2012

Sakowat lab per ankhon



Sakowat lab per ankhon main intezar liyi

Her shaam teri aarzoo rahi mujh ko

Laakh Yeh Chaaha Key



Laakh Yeh Chaaha Key Usko Bhool Jaun,......
Hausle Apni Jagah Aur Bebasi Apni Jagah.......

Friday 15 June 2012

Dunya Mujhi Se Mera



Dunya Mujhi Se Mera Pata Poochti Rahi..,,
Mera Wajood Gum Tha Kisi Aur Zaat Mein…!!!

Aata Hi Nahi Dil Main


Aata Hi Nahi Dil Main RiHayi Ka Taswar .......

Dilchasp Bohat Jurm-e-Muhabbat Ki Saza Hai..!!

Bheegi hui aankho ka yeh manzar


Bheegi hui aankho ka yeh manzar na miley ga, 
Ghar chor key mat jao kahin ghar na miley ga, 

Phir yaad bohat aye gi zulfon ki ghani shaam, 
Jab dhoop mein koi saaya sir par na miley ga, 

Aansoo ko kabhi auz ka katra na samajh na,
Aisa tumhein chaahat ka samandar nahin miley ga,

Is khuwaab key mahoul mein bey khuwaab hain aankhein,
Jab neend bohat aye gi,bistar na miley ga,

Yeh soch lo ab akhri saya hai mohabbat,
Is dar sey jo utho gey to koi dar na miley ga

Main Kyun Khud Say Usay

Main Kyun Khud Say Usay Pukaaron K Lout Aao
Kya Usay Khabar Nahi K Mera DiL Nahi Lagta Us K Bina...!!

Thursday 14 June 2012

Ro Pada Wo Shaks Aaj




Ro Pada Wo Shaks Aaj
"ALviDa" Kehte Kehte.,

Meri Shararaton Pe Jo Deta
Tha Dhamkiyan JUDAI Ki...

Poocha Tha Osney Haal


Poocha Tha Osney Haal Baree Mud'daton Kay Baad....
Kuch Parh Gya Hai Ankh Main,Yeh Keh K Roo Pare....!!

Mitta Di Main ne Aaj Apni



Mitta Di Main ne Aaj Apni Haath Ki Lakeere Bhi,

Har bar mujse Kehti thi k tu mere Naseeb Main Nahi...

Sunday 10 June 2012

Hum Na Badlain Gy Waqt

Hum Na Badlain Gy Waqt Ki Raftaar K Sath Faraz..!!

Hum Jub bhe Milain Gy Andaaz Puraana Ho Gaa..!!

Iss zamane mein wafa dhondnay

Iss zamane mein wafa dhondnay ki kiya koshish kartay ho 

"Dost" 

Wo zamana aur tha jab makaan kachay Or Dost Sachae Howa Kerrtae taeh

Muhabbat Aur Muqaddar Ka

Muhabbat Aur Muqaddar Ka Azal Sy Zidd Ka Rishta Hai..

Muhabbat Jab Bhi Milti Hai Muqaddar Rooth Jaata Hai...

Saturday 9 June 2012

Wo to khushbu hai hawaon main

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega

Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai


Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye


Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi


Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega. 

Monday 4 June 2012

mairi be-qareena fasoon-gari'mujhey yaad



mairi be-qareena fasoon-gari'mujhey yaad karney ka shukriya
mairi mustarid,mairi shairy'mujhey yad karney ka shukriya

kisi aashna sey diyaar main'kai saal baad bhi meherbaan
kisi pehley saal ki be-basi'mujhey yaad karney ka shukriya

tairey meherbaan sey sawaal pai shab-e-meh main aur bharak uthi
dil-e-meh-gazida ki tishnagi'mujhey yaad karney ka shukriya

tujhey kho k main bhi na so saka'mujhey kho k too bhi na khush rahi
mairi chashm-e-tarr main basi hui'mujhey yaad karney ka shukriya

ussey jaisey koi khabar na thi'main ussey bhula hi nahi saka
barey bholpan sey wo keh gai "mujhey yaad karney ka shukriya..........