Saturday, 9 June 2012

Wo to khushbu hai hawaon main

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

Masla phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega

Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai


Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye


Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi


Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega. 

0 comments:

Post a Comment