Bheegi hui aankho ka yeh manzar na miley ga,
Ghar chor key mat jao kahin ghar na miley ga,
Phir yaad bohat aye gi zulfon ki ghani shaam,
Jab dhoop mein koi saaya sir par na miley ga,
Aansoo ko kabhi auz ka katra na samajh na,
Aisa tumhein chaahat ka samandar nahin miley ga,
Is khuwaab key mahoul mein bey khuwaab hain aankhein,
Jab neend bohat aye gi,bistar na miley ga,
Yeh soch lo ab akhri saya hai mohabbat,
Is dar sey jo utho gey to koi dar na miley ga

0 comments:
Post a Comment