Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Monday 19 March 2012

Wo Aankhain Band Karay

Wo Aankhain Band Karay Tu Ussay Main Hi Aaon Nazar,
Is Tarah Main Uskay Har Khuwab Ki Tabeer Ban Jaon....

Sunday 11 March 2012

Yeh ishq o mohabat ki riwayat

Yeh ishq o mohabat ki riwayat bhi ajeeb hai


paya nahi jisko usko khona bhi nahi chahtey...!!!

Wednesday 7 March 2012

Kya Mohabbat Isse Ko Kehte Hain


Tumhari Yaad Aati Hay

Tumhari Yaad Aati Hay

Andheri Raat Ko Jab Aasmaan Per

Tajaliyaan Hurf -e- Mohabbat Naqsh Karti Hain

Kese Nakaam Saaat Jab

Hamara DIL Shikasta Hoslay Ka Nouha Gaata Hay

Naii Hijrat Hamari Zindagi Ki

Taaza Majboriyon Kay Aangan Main

Siya Kheema Lagati Hay

Tumhari Yaad Aati Hay

Meri Har Nazar Teri Muntazir

Meri Har Nazar Teri Muntazir

Teri Har Nazar Kisi Aur Ki



Meri Zindagi Teri Bandagi

Teri Zindagi Kisi Aur Ki



Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe

Zara Aake Dekh Mere Hal Ko



Meri Har Ghadi Tere Liya

Teri Har Ghadi Kisi Aur Ki



Mujhe Sirf Teri Talab Thi

Par Jane Mujhe Tu Kyun Na Milla



Tu Usse Milla Mere Sanam

Jise Thi Talab Kisi Aur Ki

Dekho tum Apni chahat ka andaz

Dekho tum Apni chahat ka andaz e biyan ham main



Tuje suboh uth k yad krna,Tuje rat yad kr k rote rehna.

Tuesday 6 March 2012

For You, My Love


Never will I understand,
Why my love, denies my hand.
What pain, what suffering have you endured?
With my help, can you be cured?
My thoughts, my dreams, you re always there,
When will you see how much I care?
Such little time I ve spent with you,
Enough to know my love is true.
The further you drift away from me,
The more I feel I ll never be free.
Perhaps I should just let you go,
Your love maybe, I should not know?
My love and friendship is always here,
And if you should ever shed a tear,
My arms are here to hold you tight,
For I will always be your light.

Writer: Ryan Putland

You Are Mine


You are mine, my best friend,
The one I can confide in, until the end.
The one who has seen every tear,
Whose hands boldly hold all of my fears.
You are mine, my other half that makes me complete,
Who never lets me feel like I am going through defeat.
You're the one who has always been there,
To show me how much that you truely care.
You are mine, my happiness in me,
Who's opened my eyes and really made me see.
Your compassion and love has shone through the clouds,
Leaving me with no more fears or doubts.
You are mine, an angel for me,
Whose smile is sent to make me happy.
The one who always has faith in your heart,
To make sure that I don't fall apart.
You are mine, without any question,
Giving me lots of hugs and affection.
You are mine, my best friend,
Whom I will always love until the very end!
I love you Lauren! Thanks for everything!


Writer:  Erika Dick

Thursday 1 March 2012

Jaanti hoon k munfarid nahin hoon magar

Jaanti hoon k munfarid nahin hoon magar

Koi to baat hay aisi k woh dewana hogaya

Monday 20 February 2012

Ek baar kar k Aitbaar likh do"





Ek baar kar k Aitbaar likh do"
"Kitna hai muj se payar likh do"

"Kat'ti nahi ye zindgi ab tery bina"
"Kitna aur karun Intizaar likh do"
... ...
"Taras rahy hain bari Muddat se"
"Iss baar apni Mohabbat ki izhar likh do"

"Deewany ho jayein jisy parh kar hum"
"Kuch aisa tum mery yaar likh do"

"Ziada nahi likh sakte to mat likho"
"Mohabbar bhary lafz do char likh do"

"Ek baar likho Mohabbat hai muje tum se"
"Phir yehi Jumla baar baar likh do"

Friday 10 February 2012

Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai







Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai,
Us ishq mein khuwari thi, Is ishq mein khuwari hai,

Us ne tou bhulaya tha, Hum ne bhi bhula daala,
Woh zakhm bhi kaari tha, yeh zakhm bhi kaari hai,

Tab ishq mein rotey they, Ab ishq pe hanstey hain,
Kya kaar-guzari thi, Kya kaar-guzari hai,

Ik rakss mein thi dunya, Ik rakss mein hai dunya,
Paisa hi madaari tha, paisa hi madaari hai,

Kaisa hai Tagh-yur hai, Kuch fark nahin jis mein,
Ik shakhss ki baari thi, Ik shakhs ki baari hai,

Ik ‘Saad’ ghazal kehna, ik kurb mein hai rehna,
Ik zulf sanwaari thi, Ik zulf sanwaari hai…

Believe me, if all those endearing young charms

Believe me, if all those endearing young charms,
Which I gaze on so fondly today,
Were to change by tomorrow, and fleet in my arms,
Like fairy-gifts fading away,
Thou wouldst still be adored, as this moment thou art,
Let thy loveliness fade as it will,
And around the dear ruin each wish of my heart
Would entwine itself verdantly still.

It is not while beauty and youth are thine own,
And thy cheeks unprofaned by a tear
That the fervor and faith of a soul can be known,
To which time will but make thee more dear;
No, the heart that has truly loved never forgets,
But as truly loves on to the close,
As the sunflower turns on her god, when he sets,
The same look which she turned when he rose.

Tum meri yaad mein tarpo to bura lagta hai..





Tum meri yaad mein tarpo to bura lagta hai..
Tum mere dedar ko tarso to bura lagta hai..

Ek tamanna hai faqat mujh pe meherban raho..
Tum kisi or ko dekho to bura lagta hai..

meri roh tarasti hai tumhari khushbo ko..
Tum kahen or jo mehko to bura lagta hai..

Aarzo hai k har pal main tum ko dekhon..
Tum kisi or ko dekho to bura lagta hai..

Hum to chahty hain har lamha tum ko..
Tum kisi or ko chaho to bura lagta hai!!!!!!!!

Tum ko uljha k kuch sawalon mein !

Tum ko uljha k kuch sawalon mein !

Main ne jee bhar k tum ko dekh lia !!

Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo





Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do
Humne dekhi hai…

Pyar koi bol nahin, pyar awaz nahin
Ek khamoshi hai, sunti hai kaha karti hai
Na yeh bujhti hai, na rukti hai, na thehri hai kahin
Noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do
Humne dekhi hai…

Muskurahat se khili rehti hia aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujale se ruke rehte hain
Honth kuch kehte nahin, kaanpte honthon pe mager
Kitne khamosh se afsane ruke rehte hain
Sirf ehsaas hai yeh, rooh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do, koi naam na do

Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke isse rishton ka ilzaam na do
Humne dekhi hai…...!!!

Thursday 9 February 2012

Hasrat Hai K Unko Jee Bhar

Hasrat Hai K Unko Jee Bhar K Dekheyy,..!!

Lekin Woh Pass Ho To Nazrein Uthae Nahi Jati..!!

Wednesday 1 February 2012

Utar rahay hain jo dil main khayal terey hain…


Utar rahay hain jo dil main khayal terey hain…
Kay meri chashm-e-tamana main khawab terey hain…
Kitaab meri qalam mera sochi bhi meri…
Magar jo likhay hain main nay wo baab terey hain…
To meri zaat ka aik mustanad hawala hai…
Kitab-e-dosti main sarey nisaab terey hain…

Tuesday 31 January 2012

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi ...

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi ...

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi
Main Toot-ta Tha To Chun Kar Sambhal Rakhti Thi

Har Aik Masley Ka Hal Nikaal Rakhti Thi
Zaheen Thi, Mujhey Hairat Mein Daal Rakhti Thi

Main Jab Bhi Tark-e-Taaluq Ki Baat Karta Tha
Woh Rokti Thi Mujhey, Kal Pay Taal Rakhti Thi

Bas Aik Woh Thi Jissey Ghaao Main Dikhaata Tha
Bas Aik Woh Thi Ke Jo Andmaal Rakhti Thi

Woh Mairey Dard Ko Chunti Thi Apni Poron Say
Woh Mairey Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhti Thi

Woh Doobney Nahin Deti Thi Dukh Ke Darya Mein
Mairey Wajood Ki Naao Uchaal Rakhti Thi

Duayein Uss Ki Balaaon Ko Rok Leti Theen
Woh Mairay Chaar Soo Haathon Ki Dhaal Rakhti Thi

Ikk Aisi Dhun Ke Nahin Phir Kabhi Mainey Suni
Woh Munfarid Sa Hansi Mein Kamal Rakhti Thi

Ussey Nadamatein Mairi Kahan Gawara Theen
Woh Mairey Waastey Aasaan Sawaal Rakhti Thi

Bicharr Ke Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Mein Hoon
Woh Pass Thi To Mujhey La-zawaal Rakhti Thi

Sahar Tha Naam , Ujaaley Gulaam Thay Uss Ke
Woh Zindagi Ke Andhairey Ujaal Rakhti Thi

Woh Muntazir Mairi Rehti Thi Dhoop Mein
Main Lot-ta Tha To Chaaon Nikaal Rakhti Thi

Sunday 29 January 2012

Mohabbat hum bhi kertay



Mohabbat hum bhi kertay
hain magar shikwa nahi
kertey
hum apni mohabbat ko yun
ruswa nahi kertey
jo paas aa baithay usey dil se chahtey hain
jo uth ker chala jaye usey
roka nahi kertey!

Saturday 21 January 2012

Muhabbat Phool Hy Jaan



Muhabbat Phool Hy Jaan



Kaho To Phool Ban Jaon



Tumhari Zindagi Ka



Ek Haseen Asool Ban Jaon



Suna Hy Rait Pe Chal K



Tum Aksr Muskuraty Ho



Kaho To Ab Ki Baar Main



Zameen Ki Dhool Ban Jaon



Bohat Nayab Hoty Hain



Jinhain Tum Apna Kehte Ho



Ijazat Do K Main B



Is Qadar Anmol Ban Jaon..!!