Tuesday, 31 January 2012

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi ...

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi ...

Main Aaina Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi
Main Toot-ta Tha To Chun Kar Sambhal Rakhti Thi

Har Aik Masley Ka Hal Nikaal Rakhti Thi
Zaheen Thi, Mujhey Hairat Mein Daal Rakhti Thi

Main Jab Bhi Tark-e-Taaluq Ki Baat Karta Tha
Woh Rokti Thi Mujhey, Kal Pay Taal Rakhti Thi

Bas Aik Woh Thi Jissey Ghaao Main Dikhaata Tha
Bas Aik Woh Thi Ke Jo Andmaal Rakhti Thi

Woh Mairey Dard Ko Chunti Thi Apni Poron Say
Woh Mairey Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhti Thi

Woh Doobney Nahin Deti Thi Dukh Ke Darya Mein
Mairey Wajood Ki Naao Uchaal Rakhti Thi

Duayein Uss Ki Balaaon Ko Rok Leti Theen
Woh Mairay Chaar Soo Haathon Ki Dhaal Rakhti Thi

Ikk Aisi Dhun Ke Nahin Phir Kabhi Mainey Suni
Woh Munfarid Sa Hansi Mein Kamal Rakhti Thi

Ussey Nadamatein Mairi Kahan Gawara Theen
Woh Mairey Waastey Aasaan Sawaal Rakhti Thi

Bicharr Ke Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Mein Hoon
Woh Pass Thi To Mujhey La-zawaal Rakhti Thi

Sahar Tha Naam , Ujaaley Gulaam Thay Uss Ke
Woh Zindagi Ke Andhairey Ujaal Rakhti Thi

Woh Muntazir Mairi Rehti Thi Dhoop Mein
Main Lot-ta Tha To Chaaon Nikaal Rakhti Thi

0 comments:

Post a Comment