Woh lamha bhi bhaari tha, Yeh lamha bhi bhaari hai,
Us ishq mein khuwari thi, Is ishq mein khuwari hai,
Us ne tou bhulaya tha, Hum ne bhi bhula daala,
Woh zakhm bhi kaari tha, yeh zakhm bhi kaari hai,
Tab ishq mein rotey they, Ab ishq pe hanstey hain,
Kya kaar-guzari thi, Kya kaar-guzari hai,
Ik rakss mein thi dunya, Ik rakss mein hai dunya,
Paisa hi madaari tha, paisa hi madaari hai,
Kaisa hai Tagh-yur hai, Kuch fark nahin jis mein,
Ik shakhss ki baari thi, Ik shakhs ki baari hai,
Ik ‘Saad’ ghazal kehna, ik kurb mein hai rehna,
Ik zulf sanwaari thi, Ik zulf sanwaari hai…
0 comments:
Post a Comment