ye zara zara si baat pe rooth jana chorde
rula kar jee bharke phir se manana chorde
manta hon khilona mitti ka hon par rooh.e.muhabat he mujhe
yon har roaz mujhse dil bahelana chorde
naqab me raheke benaqaab na kar begunnahon ko is tarha
hosh urjate hen yon palkon se parda hatana chorde
aala he gar tameer tere husun ki to apni wafa bhi urooj par he
yon is dilwale deewane ko bar bar azmana chorde
najoomi ko bhi huaa naaz mere hath ki lakeeren dekh kar
maen nahi tere muqadar me ye bahana chorde
usool.e.kainat dastoor.e.dunya dilwale jante nahi
aag ham se he jalti ham ko jalana chorde
muhabat ke darya me sahil hua nahi karte kami!
apna le hamen aas kinaron ki lagana chorde
ye zara zara si baat pe rooth jana chorde
rula kar jee bharke phir se manana chorde
0 comments:
Post a Comment