Har Waqt Ranj-O-Malaal Kya, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Use Yaad Karke Na Dil Dukha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Na Gila Kiya, Na Khafa Huye, Yoon Hi Raaste Mein Khuda Huye
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Voh Ghazal Ki Ek Keetab Tha, Voh Gullon Mein Ek Gulab Tha
Zara Der Ka Koi Khwab Tha, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Mujhe Patjhadon Ki Kahaniyan Na Suna-Suna Ke Udas Kar
Tu Khizaan Ka Phool Hai Muskura, Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Ye Safar Bhi Kitna Taveel (Lamba) Hai Yahan Waqat Kitna Kaleel Hai
Kahan Laut Kar Koi Aayega Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Voh Wafayein Thi Ke Jafayein Thi, N Ye Soch Kiski Khatayein Thi
Voh Tera Hai Usko Gale Laga Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
Tujhe Aitbar-O-Yakeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi
N Malaal Kar Mere Saath Aa Jo Gujar Gaya So Gujar Gaya
0 comments:
Post a Comment