Sunday 25 December 2011


Rah e Ishq main ik diya jalay bethay hain
beech sahra main ik ghar sa banay bethay hain

bikhar na jay koi qafla sar e manzil
khoon e dil say ik rasta sa banay bethay hain

pardes gaya tha kabhi jo lot na aya wapis
hum to janay kas say us ki aas lagay bethay hain

dunia to dharaktay huoon ko tor deti hay
hum to ik toota huwa dil khood say lagay bethay hain

0 comments:

Post a Comment