Showing posts with label latest poetry. Show all posts
Showing posts with label latest poetry. Show all posts

Wednesday 19 September 2012

Shairi Sms: Hum to Nazuk Hein Bilkul



Hum to Nazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,

Tum Na Socho ge Humein to Mar jayen ge.!
 

Shairi Sms: Chupke Se Lekar Naam Tera



Chupke Se Lekar Naam Tera Guzaar Denge Ye Zindagi

Zamane Ko Bata'ein Gay Piyaar Aisey Bhi Hota Hai......
 

Shairi Sms: Aik Hi Shakhs Pey Luta Detey Hain



Aik Hi Shakhs Pey Luta Detey Hain Jo Zindagi Apni

Aisey Log Ab Kitaabon Mein Mila Kertey Hain...!!!

Shairi Sms: Acha hoa K shayad



Acha hoa K shayad usy paa na sake ham 

Hamra ho k bhe bicharta Tu Qayamat Hoti

Shairi Sms: Ma ne os k baad na rakhi kese se muhabbet k aas


Ma ne os k baad na rakhi kese se muhabbet k aas,,

Ek shakhs he buhat ta jo sb kuch sekha geya.. $
 

Shairi Sms: Kabhi to Ho ga ussy ehsas k kisi ne


Kabhi to Ho ga ussy ehsas k kisi ne

Chaha tha Ussay Duniya ko Chor ker

Shairi Sms: Zindagi Bhar Aitbaar Us ka Na Main



Zindagi Bhar Aitbaar Us ka Na Main krti Magar

Us ne Is Andaaz sey meri Qasam khayi k bas.. $

Shairi Sms: Mat Pocho kaisy Guzerta hai



Mat Pocho kaisy Guzerta hai her Pal Tumhare bin

Kabhi Milnay ke Hasrat kabhi Dekhne ke Chahat...

Shairi Sms: Ab yon tanhai main dil ko saza deti hon



Ab yon tanhai main dil ko saza deti hon

Naam likhti hon tera likh k mitta deti hon

Wednesday 29 August 2012

Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya



Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha,
Tanhai Mein Shehr Basaya Karta Tha,

Kesa Pagal Shakhs Tha Sari Sari Raat,
Deewaron Ko Dard Sunaya Karta Tha,

Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baton Pr,
Or Phir Khud Ko Aap Hansaya Karta Tha,

Jalne Lagti Thi Laho Mein Judai To Ro Deta,
Tanhaiyon Ki Khak Uraya Karta Tha

Kachi Umar Ka Pyar Use Le Doba WASI.
Jo Logon Ko Pyar Karna Sikhaya Karta Tha.. !

Poetry: Jab Raat K Tanha Lamho Mein



Jab Raat K Tanha Lamho Mein
Koi Aahat Mujh Se Keh'ti Hai
Is Dil Mein Halchal Reh'ti Hai
Koi Jugno Pass Se Guzry Tu
Koi Baat Halak Se Nikle Tu
Mein Khud Se Uljh Ne Lag'ta Hn
Phir Jane Kya Kya Keh'ta Hn
Phir Yaad Tumhari Aa'ti Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Ye Saans Meri Ruk Ja'ti Hai
Ek Shola Dil Mein Bharak'ta Hai
Wo Dard Sehar Tak Reh'ta Hai
Phir Wehem Mujhe Ye Keh'ta Hai
Koi Mere Dil Mein Reh'ta Hai.

Poetry: Tumhari Yaad Aati Hai...



Tumhari Yaad Aati Hai To Hum Aansu Bahatay Hain,
Guzrey Thay Kabhi Jo Saath Din Vo Yaad Aatay Hain..
Isi Umeed Pe Hum Ne Khula Rakha Hai Darwaza,
Suna Hai Shaam Hotay Hi Bichray Lot Aatay Hain..
Haqarat Say Na Dekho Ay Ehl-e-Saahil Toofan Ko,
Kabhi Aisa Bhi Hota Ha Kinaray Doob Jatay Hain..
Kisi Say Kya Gila Ghalib Ye Dastoor Hai Zamanay Ka,
Naye Jab Yaar Miltay Hain Puranay Bhool Jatay Hain ...

Tuesday 28 August 2012

Poetry: Ae Barish


Monday 27 August 2012

Poetry Sms: Kaha Tha Na!



Kaha Tha Na!
K Yun Sote Hue Mt Chhor K Jana..
Muje BeShk Jga Dena..
Bta Dena..
Tmhen Rsta Bdlna He..
Meri Hd Se Niklna He..

Tmhe Kis Bat Ka Dr Tha?
K Me Jane Na DunGa!?
Kahin Pe Qed Kr LunGa!?

ARE PAGL!
Mohbt Ki Tbiat May,
ZbrDsti Nhi Hoti..
Jise Rsta Bdlna Ho,
Use Rsta Bdlne Se..
Jise Hd Se Niklna Ho,
Use Hd Se Niklne Se..
Na Koi Rok Paya He..
Na Koi Rok PayeGa..
Mgr ik Bat Keh Dun!?
Tmhe Khone Se Drta Hun..
ME AB SONE SE DRTA HUN..

Monday 30 July 2012

Mat poch ham se hamari



Mat poch ham se hamari bandagi ka aalam ay Ibless,,,

Ghafil hain mager thoker lagy tu sajda KHUDA hi ko karty hai.jpg

Tuesday 24 July 2012

Barha ke pyaas


Shakista Dil hun magar


Shakista Dil hun magar milti hun her aik sey hans kar

Yehi fun to Aaya hai Bahot kuch kho janay kay bad....!
 



Monday 23 July 2012

Duniya main mat dhoond (Poetry)



Duniya main mat dhoond Naam-e-Wafa aey dost

Diloon se kheltay hain log bana k ham safar apna

Wednesday 18 July 2012

Lafz Mein Par Jaye Gi Jab (Poetry)


Lafz Mein Par Jaye Gi Jab Jaan Mukammal
Ley Aayn Gay Hum Ishq Pey Emaan Mukammal

Aa Jaye Mera Naam Tere Naam K Humrah
Ho Jaye Kisi Roz To Pehchaan Mukammal..!!

Sunday 1 July 2012

Hum Kabhi Ishq Ko Wehshat Nahi Banane Dete


Hum Kabhi Ishq Ko Wehshat Nahi Banane Dete
Dil Ki Tehzeeb Ko Tohmat Nahi Banane Dete,

Lab Hi Lab Hai To Kabhi, Abru Kabhi Cashm Hi Cashm
Naqsh Tere, Teri Soorat Nahi Banane Dete,

Yeh Sitaare Jo Chamakte Hain Pas-e-Abr-e-Siyah
Tere Gham Ko Meri Aadat Nahi Banane Dete,

Tu Kabhi Raat, Kabhi Din, Kabhi Zulmat, Kabhi Noor
Tere Jalwe Tujhe Wahdat Nahi Banane Dete,

Un Ki Jannat Bhi Koi Dasht-e-Balaa Hi Hogi
Zinda Rehne Ko Jo Lazzat Nahi Banane Dete,

Haan Musarrat To Hai Bar Haq, Magar Afkaar-e-Hayat
Koi Pairaa-e-Rahat Nahi Banane Dete,

Fikar-e-Fun Kay Liye Lazim, Magar Ache Shayer
Apne Fun Ko Kabhi Hikmat Nahi Banane Dete,

Woh Muhabbat Ka Taluq Ho, Kay Nafrat Ka "Nadeem"
Raabte, Zeest Kay-o-Khilwat Nahi Banane Dete.