Wednesday 20 June 2012

Keh Rahi Hai Hashar Mein







Keh Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Howi
Haaye kaise Is Bhari Mehafil Mein Rusvaai Howi,

Aayene Mein Har Adaa ko Dekh kar kehate Hain Woh
Aaj Dekhnaa Chaahiye kis kis ki Hai Aai Howi,

Keh To Aye Gulcheen Aseeraan-e-Qafas Kay Waaste
Tor Loon Do Chaar kaliyaan Main Bhi Murjhaai Howi,

Main To Raaz-e-Dil Chupaaon Par Chupaa Rehne Bhi De
Jaan ki Dushman Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Howi,

Gamzaa-o-Naaz-o-Adaa Sab Mein Hai Hayaa kaa Lagaao
Haaye Re Bachpan ki ShoKhi Bhi Hai Sharmaai Howi,

Wasl Mein Khaali Howi Raqeebon Se Mehafil To kiyaa
Sharm Bhi Jaaye To Jaanoon Kay Tanhaai Howi,

Gard Uri Aashiq ki Turbat Se To Jhun-laa Kay kahaa
Wah Sar Charhne Lagi Paaon ki Thukaraai Howi.

0 comments:

Post a Comment