Main jo mehka to meri shakh jala di us ne
sabaz mousam mein mujhey sard hawa di us ne
pehle ek lamhey ki zanjeer se bandha mujh ko
aur phir waqt ki raftar badha di us ne
humne apne chahat ka ikraar kar na chaha toh
chup chap khamosh rehkar sab kuch sehne ki saza di us ne
meri nakaam mohabat mujhey wapis ker di
yun mere hath meri laash thama di us ne
woh janta tha keh mujhey mout sakoon bakhshay gi,
woh sitamgar tha so jeeney ki dua di us ne
us ke honey se thi sansein meri dugni shayed
woh jo bichda to meri umar ghata di us ne
dil gum se bhar k chur chur ho gaya
toh waqt bewaqt ashq na bahane ki kasam de di us ne
hum toh bhul k ushey age badhne lage the
toh piche mud k dekh k phir se ulzane hamari badha di us ne
0 comments:
Post a Comment