Monday 10 October 2011

Ye Kare Aur Wo Kare | Jagjit Singh Ghazals


Ye Kare Aur Wo Kare Aisa Karen Waisa Kare,

Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Hum Kya Kya Kare

Jee Mein Aaata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawaab,
Hum Se Wo Parda Karen Duniyaa Se Hum Parda Kare

Sun Raha Hoon Kuch Lutere Aa Gayey Hain Shehar Mein,
Aap Jaldi Bandh Apne Ghar Ka Darwazaa Karen

Is Puraani Be-wafa Duniya Ka Rona Kab Talak,
Aaiyey Mil-jul Ke Ik Duniya Nayee Paida Karen

0 comments:

Post a Comment