This is a duet ghazal of Jagjit Singh and Chitra singh
from a private album.
Tu Nahi To Zindagi Me Aur Kya Reh Jaayega
Duur Tak Tanhaeyo Ka Silsila Reh Jayega
Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega
Yun Bhee Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar
Ye Bhee Hoga Khud Usee Mein Ik Khala Reh Jaayega
Daayre Inkaar Ke Iqraar Kee Sargoshiyaan
Ye Agar Tote Kabhee To Fasla Reh Jaayega

0 comments:
Post a Comment