Showing posts with label sad shairi sms. Show all posts
Showing posts with label sad shairi sms. Show all posts

Friday 28 December 2012

Zarori tu nahin



Zarori tu nahin jo khushi de osi se muhabat ho

Piyar tu akser dil_____ torny walon se hota hai 


Monday 17 December 2012

December Ki Sard Hawaoo


December Ki Sard Hawaoo
Us Se Milo To Kehna
K Aaj Bhe
Us Ki Yaad
Kisi K Dil Main
Mustaqil
Khaima Zan Hay
Koi Aaj Bhe Usay
Uthtay,Bethtay,Sotay ,Jagtay,
Hanstay,Rotay
Yaad Karta Hay

December Ki Sard Hawaoo
Us Se Milo To Kehna

K Aaj Bhe
Kisi Ki Palkain
Sir E Sham He
Us K Intizar Main
Beech Jati Hain,
Aaj Bhe Koi
Us Kay Liye
Udas Rehta Hay

December Ki Sard Hawaoon
Us Se Milo Toa Kehna
K Aaj Bhe
Kisi K Din Rat
Us Kay Bin
Sogawar Guzertay Hain,
Aaj Bhe
Kisi Ki Aankhain
Us Kay Liye
Num Rehti Hain

December Ki Sard Hawaoo
December Ki Sard Hawaoo
December Ki Sard Hawaoo

December Tum Na Jao Na..




December Tum Na Jao Na..

Abhi Lamhe Nahi Bikhrey,
Abhi Mosam Nahi Bichrey,
Mere Kamrey Ki Thandak Me,
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai,
Meri Dairy K Kuch Safhe,
Abhi Kuch Keh Nahi Paye,

Mere Angan K Sab Podey,
Abhi B Gungunatey Hein

Mere Bejaan Hontoon Pr,
Abhi Muskaan Baqi Hai,
Kisi K Lot Any Ka Abhi
Imkaan Baqi Hai,

December..!!
Baat Ik Sun Lo!

Sonu!
Tum Maan Jao Na!

K Jab Tak Wo Nahi Aata,
December Tum Na Jao Na..

December Ki Baarish




December Ki Baarish May
Bheegtay Peroo’n Say Pocho
Akela Pan Kya Hai…????
Tanhai Kisay Kehtay Hain?
Seh-Peher Ki Dhuup Ko Tarashna
Aur Barish May Bheegtay Rehna
Jangal Ki Raaho’n May Akelay Chalna
Aur Barish May Bhegtay Rehna..

December Ki Barish May

Leher-Dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo
Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale
Tanha Kaise Rehte Hain??
Bhegti Hain Sard Raatein

December Ki Barish Say Kaho !

Kabhi Jungle K Us Paar Mile
Dhaltay Hon Sham K Saaye Main
To Unn Aankhon Say Milay..!!

December Ke Barish Say Kahoo…….. !!

Saturday 15 December 2012

Usy kehna December ja reha hay




Usy kehna….!
December ja reha hay
Or December ki aakhri shaam hay
Aur December k guzartay hi
Baras ik aur maazi ki fiza mein doob jaye gaa
Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Muhabat ki kahani ko koi takmeel day jana
Usy kehna, December ka maheena jaisy hi guzray ga
Umeeden doob jayen gee
Wo sapnay toot jayen gay
Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Mohabat ko koi tabeer dai jaye
Usy kehna, Muqadar ko hamaray doob jany say
bacha lena..!!!

Monday 3 December 2012

Phir us ke jaatey hi yeh dil




 Phir us ke jaatey hi yeh dil sunsaan ho kar reh geya,
Achaa bhala ik sheher tha veeraan ho kar reh geya,
Rut ne mere chaaron taraf kheenchey hisaar baam-o-dar,
Yeh sheher phir mere liye zindaaan* ho kar reh geya,
Kuch din mujhe awaz di logon ne us ke naam se,
Phir sheher bhar main woh meri pehchaan ho ker reh geya,
Ik khawab ho kar reh gayin gulshan se apni nisbtain,
Dil raizaa raizaa kaanch ka guldaan ho kar reh geya..

Bewafai ki tohkar tumhe lagi




Bewafai ki tohkar tumhe lagi toh tum bhi jan jaogi, , ,
Jab apna bana kar koi nazar Andaz karta hain toh kitna dard hota hain. . . ! ! !

Ishq Ka Apna Ghuroor


Ishq Ka Apna Ghuroor, Husan Ki Apni Anaa Hai,

Un Sy Aaya Na Gaya, Mujh Sy Bulaya Na Gaya. .♥

Tuesday 6 November 2012

Hamesha Khaas lagta hay..?



Wo darjan bhar maheeno say,
sada mumtaz lagta hay............

November Kis Liye Aakhir..?
Hamesha Khaas Lagta hay..

Bohat sehmi Hui subhain,
Udasi say Bhari shaamain,

Dopehrain royi royi si,
Wo raatain khoi khoi si,

Garm Dabeez hawaon Ka,
Wo Kam roshan ujaalon Ka,

Kabhi guzray hawalon Ka,
Kabhi mushkil swalon ka,

Bichar janay Ki mayusi,
Milan Ki Aas Lgta hay,

November Kis Liye aakhir?
Hamesha Khaas lagta hay..?

Sunday 28 October 2012

Pata Hai?



Pata Hai? Muntazir Rehna Boht Takleef Deta Hai....
Bata Kar Hi Challey Jaatey Agar Jaana Zarori Tha....??

Saturday 29 September 2012

Khatem Howa Mera Afsana Ab


Khatem Howa Mera Afsana Ab Ye AnsoO Ponch Bhi LoO

Jis Main Koi Tara Chamkey Wo Ajj Ke RaAt Wo RaAt Nahi 

Bari GustaaKh Hai Teri Yaad



Bari GustaaKh Hai Teri Yaad, Isay Tameez SiKha Do . . . ! 

DastaK B Nahi Deti Aur DiL Main utar Jaati Hai . . .