Showing posts with label Urdu Ghazal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal Poetry. Show all posts
Monday, 17 September 2012
Friday, 14 September 2012
Tuesday, 11 September 2012
Aadat Si Ho Gayi Hai....
Intezaar Karte Hai Hum Aapka Der Tak,
Aap Ko Na Aane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Baat Baat Pe Muskurate The Hum,
Ab To Rone Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Kabhi Talab Karte The Tumhe Hum,
Ab To Berukhi Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Kabhi Ek Humdard Chahte The Hum Bhi,
Par Ab To Tanha Gam Sehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Jab Se Sochna Shuru Kiya Hai Tumko,
Saari Saari Raat Jaagne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Malum Hai Ke Hamari Kismat Mein Tum Nahi,
Bas Kismat Se Ladneki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Tum Jahan Bhi Raho Bas Khush Raho,
Ye Duwa Mangne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai....
Monday, 10 September 2012
Wednesday, 29 August 2012
Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya
Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha,
Tanhai Mein Shehr Basaya Karta Tha,
Kesa Pagal Shakhs Tha Sari Sari Raat,
Deewaron Ko Dard Sunaya Karta Tha,
Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baton Pr,
Or Phir Khud Ko Aap Hansaya Karta Tha,
Jalne Lagti Thi Laho Mein Judai To Ro Deta,
Tanhaiyon Ki Khak Uraya Karta Tha
Kachi Umar Ka Pyar Use Le Doba WASI.
Jo Logon Ko Pyar Karna Sikhaya Karta Tha.. !
Phoolon Ki Taazgi Hai Kya
Ishq Hai Bekhudhi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Puchho Na Zindagi Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Phoolon Ki Taazgi Hai Kya Chaand Ki Chaandni Hai Kya
Rang Hai Roshni Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Meri Har Ek Soch Ki Hai Teri Zaat Tak Udaan,
Aur Meri Shayri Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan,
Meri Shaam-E-Fikar Mein Hai Tere Pyaar Ki Mehek,
Phool Hai Kya Kali Hai Kya Bas Teri Aarzu Hai Jaan...
Poetry: Jab Raat K Tanha Lamho Mein
Jab Raat K Tanha Lamho Mein
Koi Aahat Mujh Se Keh'ti Hai
Is Dil Mein Halchal Reh'ti Hai
Koi Jugno Pass Se Guzry Tu
Koi Baat Halak Se Nikle Tu
Mein Khud Se Uljh Ne Lag'ta Hn
Phir Jane Kya Kya Keh'ta Hn
Phir Yaad Tumhari Aa'ti Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Ye Saans Meri Ruk Ja'ti Hai
Ek Shola Dil Mein Bharak'ta Hai
Wo Dard Sehar Tak Reh'ta Hai
Phir Wehem Mujhe Ye Keh'ta Hai
Koi Mere Dil Mein Reh'ta Hai.
Koi Aahat Mujh Se Keh'ti Hai
Is Dil Mein Halchal Reh'ti Hai
Koi Jugno Pass Se Guzry Tu
Koi Baat Halak Se Nikle Tu
Mein Khud Se Uljh Ne Lag'ta Hn
Phir Jane Kya Kya Keh'ta Hn
Phir Yaad Tumhari Aa'ti Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Ye Saans Meri Ruk Ja'ti Hai
Ek Shola Dil Mein Bharak'ta Hai
Wo Dard Sehar Tak Reh'ta Hai
Phir Wehem Mujhe Ye Keh'ta Hai
Koi Mere Dil Mein Reh'ta Hai.
Monday, 27 August 2012
Poetry Sms: Kaha Tha Na!
Kaha Tha Na!
K Yun Sote Hue Mt Chhor K Jana..
Muje BeShk Jga Dena..
Bta Dena..
Tmhen Rsta Bdlna He..
Meri Hd Se Niklna He..
Tmhe Kis Bat Ka Dr Tha?
K Me Jane Na DunGa!?
Kahin Pe Qed Kr LunGa!?
ARE PAGL!
Mohbt Ki Tbiat May,
ZbrDsti Nhi Hoti..
Jise Rsta Bdlna Ho,
Use Rsta Bdlne Se..
Jise Hd Se Niklna Ho,
Use Hd Se Niklne Se..
Na Koi Rok Paya He..
Na Koi Rok PayeGa..
Mgr ik Bat Keh Dun!?
Tmhe Khone Se Drta Hun..
ME AB SONE SE DRTA HUN..
Sunday, 24 June 2012
Bataane Se Bhee Ye Gham
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote
Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote
Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote
Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote
Pyaar jab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote
Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote.
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote.