Showing posts with label Poetry on Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Poetry on Ghazal. Show all posts
Sunday 7 October 2012
Thursday 4 October 2012
Tuesday 2 October 2012
Apni aankhon mein mere khawab rehne do
Apni aankhon mein mere khawab rehne do,
Kuch an’kahe sawalon ke jawaab rahne do,
Na milo iss tarah ke dharkane’n ho jayain be’qabu,
Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do,
Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone,
Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do,
Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton ke paani se,
Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do,
Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya Waqas,
Abhi nayi manzil hai dono ki, purane hisaab rehne do..
Wednesday 26 September 2012
Wednesday 19 September 2012
Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi
Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,
Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,
Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh du,
Par mere dil ko sada mujh se baghawat hi rahi,
Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha,
Teri ulfat ki mere dil pe hakomat hi rahi,
Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko,
Phir bhi aa dekh mujhe teri zaroorat hi rahi....